QUARANTINE KI BAAT
Par ek baar isko enjoy krke to dekho
Akele rehkar khudko dhundhna
Yaa aas-paas koi nahi hai ye sochke rona
Ye toh hai tumhare hi haath
Kisika ho ya na ho sath
Khud hi tham lo tum khudka haath
Tension pareshani hai sabke life ka part
Par ab tum hi hoge apne aap ke paas
Lagega ki koi puchta nahi hai
Lagega ki sab muh fer lete hai
Lagega ki ab bas ho gaya
Yu akele rehkar mai toh thak gaya
Lagega ki kyu hua mai ek kamre me band
Kya family ke durr rehena bhi hai koi dawa
Fir lana tum bas ek hi khayal
Hona hai tumhe thik ya hona hai dukh ki naav me sawar
Khush quismat mano khudko yaa samjho khudko hi lachaar
Rahega ye tumhare hi haatho me,
Par bhagwan ki bhi toh koi marji hogi na yrr!!
Abhi nahi toh kabhi nahi milega ye akelepan ka ahesaas
Jee lo isko khulke kyuki mehsoos hogi khudki li hui har ik saans
Zindagi ka importance samajh aayega
Yaa fir frustration ka gaana gaya jayega
Wo jo kabhi yaad nahi aata
Wo khuda bhi ab yaad aayega
Mushkil ki ghadi hogi
Hoga gumo ka saaya
Kar lenge isko bhi paar
Rakhna padega aisa man me vishwas
Mushkil hoga khuko manana
Par yahi ek raasta hai agar khudko hai firse paana
Ye nahi hai kisiki zindagi ya maut ki baat
Ye toh hai jeevan ko bandalne wale din aur raat
Kisike jeevan me aayega sukho ka sagar
Yaa kisiki rooh ko hoga mahamari ka darr
Par karega ise paar wahi insaan
Jo rakhega dheeraj aur banega nidar
Aayegi pareshani, aayege gum
Hogi taklif, aur raahat milegi kam
Bachho ko padhayi likhayi se chutti... mila hai thoda aaram
Jawano ko duty se chutti...kahenge kaam ka ab 14 dino tak mat lo naam
Budho ko hogi baichaini, aur wo yaad karenge unki gossips wali shaam
Par kabhi socha hai?
Police officers aur doctors kaise karte hoge
Patients ko bachane ke liye itne saare intazaam
Lagti apni dikkate sabko badhi hai
Par thodi durr dekhoge toh ek pariwaar me kayi log bhukhe pade hai
Khush quismat mano khudko yaa samjho khudko hi lachaar
Rahega ye tumhare hi haatho me,
Par bhagwan ki bhi toh koi marji hogi na yrr!!
Oxygen ki chal rahi maramari
Bagdod kar rahe ghar ke sadasya, aur nibha rahe apni jimmedari
Vaccines ki bhi ho rahi kami
Ek taraf jaane ja rahi hai, toh dusri taraf padh rahi aakho me nami
2 min. baad kya hoga, ye pata laga paana nahi hai mumkin
Par do pal bhi agar mile toh unhe jee lo, kyuki nahi pata ki kal ka kaisa hoga din!!
Sakaratmak vicharo ka hona chahiye sar pe dera
Kyuki nakaratmakta kar deti hai jeevan me andhera
Durr raho apno se-parayo se
Par dil se unhe jaane na dena kahi
Yaad rakhna bas ye ki wakt thamta nahi kabhi
Ek din aayega jab ye wakt khatam hoga aur milenge sab apne yahi
Dharti ho, ya ho ambar
Hoga sabkuch thik insaniyat ke dum par
Karo madat ek dusre ki, darkar nahi balki bimari se ladkar
Aayega wo wakt jab log baate kar payege mask utarkar
Duriya hogi khatam, khush hoga sara sansaar
Yahi kathin paristhiti leti hai imtehaan
Agar paas karni hai ye exam
Toh karna padega mushkil ki ghadi ko bhi aasan
Rakho apni sehat ka dyan,
Khao thode healthy pakwan
Duniya milegi dekhne,
Milega berojgaro ko firse kaam
Fir ek baar shuru hogi bahar ki bagdod
Aur achhe lagne lagege subah ke alarm
Wo 14 se 21 din bhari lagege bohot
Par ek baar gujar gaya ye samay toh nikal jayega is baat ka khuf
Khush quismat mano khudko yaa samjho khudko hi lachaar
Rahega ye tumhare hi haatho me,
Par bhagwan ki bhi toh koi marji hogi na yrr!!
- Written By Prerna Moundekar

No comments:
Post a Comment